LightReader

Chapter 6 - 06 The Storm

--- Mausam ko dekhty hoye Akram class mein jata aur wahan Hamza pehle majood tha. Akram, Hamza ke paas aata.

Akram: Wah! Aaj tum itni jaldi kaise school aagye?

Hamza: Jigar mausam kamal ka tha bike par aane ka plan banaya aur saath thori investigation bhi tou karni thi. Iss liye jaldi nikal gya.

Akram: Kaisi investigation?

Hamza: Wohhi, Teri Bhabi ke baray mein!

Akram: Ohh, wohhi Scarf wali larki? lgta mamla serious hi chal raha hai.

Hamza: Tou aur kya jigar. Tumhein kya lgta main mazaq kar raha?!

Akram: Nahin Nahin, tum tou super serious ho humesha ki tarha.

Hamza: LOL boht hansi aayi.... Achha sunn tou sahi...

Akram: han han bta, kya pta chala?

Hamza: Guess what? She is from our class!

Akram: Nah kar...!

Hamza: Han na, Woh darasal sab se pechy bethti hai Zoya wali lane mein aur uss ka naam Amna hai.

Akram: Wah bhae...

Itne mein Amna bhi class mein aajati hai aur ussi jagah beth jati. Hamza uss ki taraf dekh raha hota par uss ki taraf jata nahin. Darasal break hone ka wait kar raha tha. Ta'k uss se baat kar sakkay aur mazeed jaan sakkay.

Hamza: (gardar gumaye baghair Akram se kehta) Dekho zara time kya hua hain.

Akram: (apni ghari dekhty hoye) barbaadi ka.

Hamza: (Akram ki taraf dekhta) Baaz aaja. han bhool gya tha. Yeh teri baba-azam ki ghari bhi na... Theek kyun nahi karwaty isse kab se rukki hoi hai bilkul tumhari tarha. Oye Nabeel(name of his class-fellow jis nay Akram ko kohnee marty hoye uthaya tha) time bata kya howa?

Nabeel: Time.. 08:20 AM ho gye hai.

Hamza: Aaj tou Sir. Usman(1st lecture teacher of Math) puray 10 minutes late ho gye hain. Aisa kabhi nahi howa balke humesha 2-3 minute pehle class mein aa jaty thy. Lagta aaj nahi aaye.

Nabeel: Nahi.. Nahi.. Aayein hain.. Jab main aa raha tha tou maine dekha tha Sir.Usman ko.

Akram: Yaar Nabeel kabhi koi achhi news nah batana.. (Itne mein Sir class mein aa jaty)

Sir.Usman: Sorry class main aaj zara late hogya. Aaj aap ke liye aik news hain. (door ki taraf haath ka eshara karty hoye) beta.. Aandar aa jao. (aik lamba chora larka jis nay glasses pehne hoye thy, andar daakhil hota) So class.. Meet our new student, Aslam.. "Hain... A transfer student!! -said everyone," Beta apne aap ko class mein introduce karwao.

Aslam: Hi all, My name is Aslam Farooq. Kuchh personal kaam ki wajah se mujhy aur mere dad ko achanak Lahore shift hona para. So, here I am now.

Sir.Usman: Good.. Now class what do you have to say?

Class: Hi, nice to meet u, Welcome Aslam. Hope you will have a great time with us.

Sir.Usman: Aslam, u can sit wherever you want.

Aslam, Akram ki peechy wali seat par jaa kar beth jata aur aik dam Akram ko wohhi wali feeling aati jou kal ke din uss draar wali jaagah mein howa tha. Chakar sa mehsoos hota tou desk ko zoor se pakar leta aur apne aap ko sambhalta. Akram ko kuchh achhi feelings nahin aa rahi thi tou woh peechy nahin dekha aur apna kaam karne lg jata. Aslam sare lecture rude andaaz mein betha rehta aur kisi se koi baat nahin krta. Break se pehle walay lecture mein thora idher udher dekhta class mein aur uss ki nazar Zoya par parti jou ke kabhi Akram ko dekhti kabhi white board ki taraf. Aslam ke face pe ajeeb si smile aati.. Break ki bell baj jati aur sir chale jaty. jaty hi Aslam, Zoya ki taraf jaane ke liye uthta lekin Hamza, Aslam ki taraf pehle aajata aur "Hi" kehty hoye haath aagy bharhata tou Aslam uss ke haath ko peechy karty hoye andaaz se marta.

Aslam: (rude andaaz mein) Huh! Mere saath free hone ki zarorat nahi hain..

Hamza: Man, calm down.. Main tou bas 'Hi' kehne ke liye aaya tha.. Ab aik class mein hain tou jaan pehchan tou zarori haina

Aslam: (ussi andaaz mein) Koi zarorat nahi. Tum apna kaam karo aur main apna.

Hamza: Ok! Ok! Chill man! (Hamza ko thora ghussa aata)

Aslam phir aagy bharta aur Zoya ki taraf aajata aur kehta—

Aslam: heyyy... What's your name? You have to come with me.

(Zoya Jawab dene lgti tou Akram uthta aur usse awaz deta)

Akram: Heyyy you... transfer student. Mind your business. Yeh tumhara Ghar nahi. Leave her.

Aslam: Main tujh se baat nahi kar raha. So mind your own business. (Zoya ka left baazoo pakkar kar usse uthane ki koshish karta tou Zoya apna right baazoo usse marne ke liye uthati, Aslam uss ka woh baazoo bhi rokty hoye pakkar leta. jaise hi baazoo pakkarta tou Zoya ki Aankhon mein aansu aa jaty kyun ke yeh wohhi zakhmi baazoo tha) come with me..

Akram: (ghusse mein) that's enough (baazoo wale waqiye ka kisi ko nahi pta tha tou Akram Zoya ki takleef ko janta tha. Aslam ke baazoo par apna haath zoor se marty hoye hatta) leave her! takleef ho rahi hai usse.

Aslam: Takleef uss ko ho rahi. tumhein kya masla ho raha?

Akram: (ghusse se buland awaaz mein) She is my friend *everyone starts looking at Akram* i mean, I am the class monitor. Class me kisi ke saath aisa nahi hone dey sakta. class mein discipline rakhna mera kaam hain.

Zoya: Ak..ra...m.. (Akram ke peechy khari ho jati)

Aslam: (ungli se eshara/warn karty hoye) Huh! Tumhein tou main baad mein dekh longa Mr. Monitor! And hey larki.... Watch yourself. (class se bahar chale jata)

Zoya: Thank you..

Akram: Mujhy lagta yeh thankyou word boht pasand hai aap ko. panchvi(5th) dafa bola.

Zoya: Hehe.. Ab itni madad karogy tou bolna parega na..

Akram: You don't have to.. Friendship mein no sorry no thankyou (Zoya blush)

Hamza: Yeh kab howa? Aur kaise howa?

Akram: Kya kab hua? Don't look at me like that, Hamza! (baat badalty hoye serious andaz mein) chalo meray saath mujhy tumhein kuchh btana hai.

Hamza uss ka andaz samjh jata ke baat kuchh serious hai, Iss liye foran khamoosh hojata aur Dono class se bahar canteen mein baat karne chale jaty.. Dusri taraf Aslam ground mein koonay walay drakht ke paas khara sab ko dekh raha hota aur saath mobile pe kisi ke saath chat kar raha tha. Itne mein Saad aur uss ka gang uss ke paas aajata.

Saad: Oh'ho, shehzaday aayein hain.. Aao aao.. Bhai maan gye.. pehle din hi tum nay khoob tehka lga diya class mein.. Humaray gang ka hissa banogy. Main tumhein apna right hand banaounga (uss ke gang ka wohhi larka jou haklata tha aur saath mein Saad ka right hand. Iss ka naam Obaid. Saad ki taraf dekhne lag gya)

Aslam: Huh! So tum ho school ke badmash gang.. Aur kya kaha, right hand? huh'hahaha.. I'm going to be the boss.

Saad: (ghusse se) What? Abhi naye ho tou aukhat mein raho!

Aslam: Sunai nahi diya?! Tumharay liye dubara bol deta hon. Waise mujhy apni baat repeat karna pasand nahi par leader banna hai, so I can show you some mercy. B.O.S.S. The Boss aur rahi baat aukaat ki. Aaja maidan mein ya kuchh aur karna hoga boss banne ke liye? huh! (Obaid foran bolta "Tuuum ko Sa..aad ko kisi muu..qable mein halana hoga") as expected.. How about a fight between you and me? Kal issi ground mein!! (Saad ka jawab sunnay baghair wahan se chal parta)

Saad: (shadeed ghusse mein buland awaz mein) hey! Kya samjhta apne aap ko? Dekh loonga tujhy main. (Obaid se baat karty hoye) Abhy tu kya keh raha tha muqablay mein haarana. Tu meray saath hai ya uss ke?

Obaid: Tuu..mnay bhi tou ussh ko light hand banay ka bola tou main ghu..shay mein bbbol diya

Saad: Wah g wah.. Tujhy tou baad mein dekhta. Pehle iss Aslam se nipat loon.

More Chapters