Instagram...
Ek jagah jahan log reels banate hain, filters lagate hain, aur kabhi kabhi... apna pyaar bhi dhoond lete hain.
Aur isi Instagram ne milwaya tha Hemant aur Tanishka ko — ek aisi jodi jinki shuruaat galiyon se hui thi.
2 January 2025, shaam 7:34 baje ka time tha.
Hemant bored tha, toh apni standard overacting wali reel banayi. Background me ek loud trending song, thoda cringe dance move, aur caption:
"Life me fun chahiye? Mere jaise bano. No logic, only masti."
Reel upload hote hi, kuch likes aaye. Par phir ek notification:
@tanishka_005 replied to your story
> "Tumhare jaise logon ke wajah se duniya backward ja rahi hai."
Hemant ka reaction?
> "Yeh kaun hai bhai? Bina reason ke roast?"
Reply gaya turant:
"Tumhare jaise logon ki wajah se sarcasm zinda hai. Thanks for your service."
Aur bas wahi se shuru hui... Sarcasm ki yudh.
Pehla din – sirf galiyan.
Dusra din – taane.
Teesra din – personal attacks disguised as flirting.
> "Tera fashion sense dekh ke toh lagta hai duniya me style mar gaya."
"Aur tera attitude dekh ke lagta hai manners bhi suicide kar chuke hain."
Par in taano ke beech ek chhupa hua smile tha.
Ek aisa connection jo na dosti tha, na dushmani – lekin dono ko ek dusre ki replies ka intezaar rehne laga.
Aur main?
Main unka dost — ek silent observer.
Naam: Vaishali (yes, main bhi ladka hoon is novel mein).
Mera kaam tha un dono ke DM ka screenshot lena, unki ladai pe hassna, aur secretly wish karna ki yeh dono jaldi pyaar me pad jayein.
5 January
Hemant ne ek reel banayi, caption tha:
"Crush vo hoti hai jo roast bhi kare, aur dil bhi le jaye."
Tanishka ka reply:
> "Main crush nahi, main punishment hoon. Tera time aaya."
Aur ek 😈 emoji.
Hemant ne dil pe haath rakha.
> "Bas yahi hai. Ye ladki nahi, meri Instagram wali destiny hai."
6 January se 15 January tak...
DMs ka tone change hone laga.
Pehle sarcasm, fir emojis, fir:
> "Tu late reply karta hai, achha nahi lagta."
"Kal teri reel nahi aayi. Sab theek hai na?"
"Goodnight idiot."
Wahi Tanishka, jisse pehle Hemant ignore karta tha, ab uske bina uska din adhoora lagta tha.
Aur wahi Hemant, jise Tanishka "annoying influencer" bolti thi, ab uske reply na aane par restless ho jaati thi.
Phir aaya ek bada moment...
Video Call.
First time, screen pe saamne.
Awkward hi sahi, lekin aankhon me kuch tha. Kuch jo likha nahi jaa sakta. Sirf mehsoos kiya ja sakta tha.
> "Tumhare bina roast karna boring ho gaya hai," Tanishka boli.
Hemant hasa, "Tumhare bina zinda rehna boring ho gaya hai."
Tanishka chhup ho gayi.
Hemant bhi serious ho gaya.
Us call ke baad...
Reels se zyada maayne rakhne laga unka ek dusre ka online hona.
DMs me chhupi thi halka sa pyaar, thoda sharmaana, aur ek unsaid feeling – jiska naam unhone khud bhi nahi rakha tha.
Aur isi beech...
Unki kahani ka asli narrator — main — soch raha tha:
> "Galiyaan se shuru hone wali ye story, ab dil tak jaa rahi hai."
Aur mujhe toh bas itna kehna hai…
'Insta Wale Pyaar Ko Kya Naam Doon?'
---