LightReader

Chapter 1 - Aazmaish Se Sukoon Tak

Introduction

Woh masoom si bachchi jo sirf mohabbat samajhti thi,

Zindagi ne use dard ka matlab sikha diya.

Roti hui ladki badtameez ban gayi,

Aur phir ek din… usne sab kuch chhod kar Allah ki taraf rujoo kar liya.

Yeh kahani hai 'Aazmaish Se Sukoon Tak' ka safar —

Jahan zakhmon ne use toda nahi, mazboot banaya.

Zeenia sirf paanch saal ki thi jab zindagi ne use aazmaishon ke daur mein dhaakel diya. Bachpan se le kar jawani tak, har din ne use kuch na kuch sikhaaya — kabhi aansuon ke zariye, kabhi khamoshi ke saaye mein.

Wo masoom bachi jo chhoti chhoti baaton par ro deti thi, waqt ke saath itni mazboot ho gayi ke ab aansu bhi usse ijazat maang kar nikalte hain. Log use badtameez, sakt dil aur be-hiss kehte hain... lekin koi nahi jaanta ke ye sakhti uske andar ke toofan ka nateeja hai.

Lekin jab zindagi ke sab darwaze band lagte hain, tab ek darwaza hamesha khula rehta hai — Allah ka.

"Aazmaish Se Sukoon Tak" ek larki (bchi) ke safar ki kahani hai — dard se dua tak, roshni se sukoon tak.

More Chapters