dear boys imagine yourself as the Main charector...
8 saal ka zayn adhi raat ko need se jag gya or wo bahar jake asmaan ki taraf ungli dikha kar khud se puch raha ki ye sare Stars asmaan me ek circle kr sape me kyu hai fir zayn ke pita neend se jagte hai or wo zayn ko dhoondne lagte hai pir dekhte ki zayn bahar baith ke khud se bate kar raha hota hai uske pita usse puchte hai ki tum bahar kya kar rahe ho itni raat gaye pir zayn uske pita se puchta hai dad ye stars asmaan me ek circle ke shape me kyu hai aisa lagta hi inko aisa sajaya gaya ho dad kya gods sachme hote hai kya gods insaano se jyada takatwar hote hai zayn ke pita kehte insab ke bareme to mujhe bhi nahi pata zayn kehta hai dad koi kahani sunao na zayn ke pita kehte achha chalo pir aj tume ek devtao ki kahani sunata hu kya pata tumare sare sawalo ke jawab bhi mil jaye to gor se sunna zayn kehta hai theek hai dad fir mai zarror sununga... [1]
zayn ke dad.. ye kahani hai ek aise ladke ki jisko ek devta ne apne maksad ke liye insaan ke roop me paida karwaya uska naam tha zohan... [2]
2001/20/ November ye wo din tha jis din zohan ka janam hua usko janam dene wali maa ek aisi beemari ki sheekar thi jiski koi dawa nahi thhi iski ke chalte zohan ke pita ne apni biwi ko chor diya tha zohan ki maa chahti thhi zohan ko iss duniya me lake usko ek achhi life dena jab tak wo zinda rahengi wo har roz god se dua karti thhu ki jab tak zohan khud ka dhyan rakhne layak nahi ho jata wo zinda rahe wo har roz aise hi dua karti wo apni beemari ke chalte kaam nahi kar pati thhi to usne galat rasta apnaya taki apne bete ko aisi zindagi de jo use kabhi nahi mili jab zohan ki maa ka janam hua tha uske mom dad ne usko anath hasram me de diya tha jab wo badi hui wo itni khubsurat thhi ki har kisi ne unko apne matlab ke liye pana chaha pir unki mulakat ek shaks se hui un dono ko pyar ho gya unhon ne shadi karli jab wo pregnant thhi tab us admi ko apni biwi ki uss bimari ke bare me pata chala pir uss admi ne unko chor diya baad me pata chala ki wo bass zohan ki maa ki khubsurti se pyaar karta tha na ki unse jab zohan 6 saal ka hua usko ajeeb sapne ane lage kuch bure or kuch achhe bhi to zohan ne apni maa se un sapno ke bare bataya pir zohan ki maa muskura ke kehti hai ki har sapno ka koi na koi matlab zaroor hota hai kya pata jab tum bade hoge tab tum tume unke baare me kuch pata chale kahi saal beet gaye zohan 20 saal ka hone ko aya tha zohan ki maa ki beemari bohot bad chuki thhi zohan apni maa se kehte hai maa ap kaab tak aise hi kaam karte rahengi mai bada ho chuka hu abse mai kaam karke apki dekh bhal karunga wo haste hue kehti hai zaroor karna pehle tum kisi aise ko dhoond lo jo tumhe mere baad sambhal sake zohan kaehta hai meri tang kyu kheench rahi aap or waise bhi mai apni life me apki jagah kisi ko nahi de sakta wo hehti hai ki mere pass jyada waqt nahi bacha hai tabhi zohan rone lagta hai pir apni maa se kehta hai ki mai bhi apki tarha gods se dua karunga apke liye sab theek ho jayega wo meri dua zaroor sunenge pir wo kehti hai kaash aisa ho pata pir zohan kehta waise bhi mai nahi manta kisi god ko agar wo sach me hote ap aise apni beemari se lad nahi rahi hoti agar wo hue bhi to mai usne har chiz ka hisab lunga jo apko sehna pada agar ako kuch ho gya to mai kisi ko bhi maaf nahi karunga mai wo har chiz kahat karunga jo apki aisi ghinoni zindagi wahah bani hai zohan ki maa chonk ke kehti hai tum kiski baat kar rahe ho or unki anko me ansu aa jate hai tabhi zohan kehta ki mai har chiz janta hu ki mere liye kya kuch nahi kiya jab tak mai janta insab ke bare bhot der ho chuki thhi or mai janta hu apke in ansuon ki wajah bhi kahi na kahi wo gods bhi hai jinko ap hamesha pujti hai zohan ki maa kehti hai aisa nahi kehte aisa kehna galat hai phir kehti hai kya tum mujhe mere iss bache waqt me kisi se milwa sakte ho jisko tum meri jagah de sako apni life me phir zohan kehta hai mai apki jagah kisi ko nahi de sakta chahe wo meri hone wali biwi hi kyu na ho phir wo rone lagta hai tab zohan ki maa zor zor se hasne lagti hai pir zohan puchta hai ab maine kya keh diya to wo kehti hai mai tab we yahi kehna chat thhi ki tume shadi karlo kisi se zohan kehta hai apko meri tang kheench na achha lagta hai kya wo haste hi rehti hai pir kehti hai ki mai aj tak itna kabhi nahi hasi kehti hai ki mai tumari shukraguzar hu kyu ki meri life sari achhi yaade tumne hi di hai ek tum hi ho jisne mujhe itne salo tak nahi chora phir wo zohan se kehti hai kya tume mujhe apni godh me sulao ge aisa bolke wo zohan ke goth me sar rakh ke muskurati hai or kehti hai agar kabhi tume wo shaks mile to usko kabhi akela mat charna uski utni hi izzat karna jitni tum meri karte ho usko utna hi pyaar karna jitna maine tumse kiya aisa bolke wo chal basti hai zohan apni ko lipat ke rone lagta hai pir uski uski maa ki kahi ek baat yaad ati hai jisdin zohan ki maa ne usse kaha tha agar mai mar jau to mujhe tum hawa dafnana jaha dewtao ka ghar mana jata hai taki tum waha har roz ake mujhse milo or mere liye dua karsako taki meri zindagi me koi galti hui hai to mujhe maaf kare or agar mujhe lagla janam mile to aisi life phirse jeene ko na mile zohan muskura ke kehta hai zaroor pir wo apni maa ko utha ke uss jagah leke jata hai or waha apni ko dafna ke uski qabr ke baith jata hai apne ghutno ke bal or asmaan ki or dekh ke zor zor se chik ke bolta hai kya tumne dekha wo ab nahi rahi pata hai kyu kyu ki tumne uski ek nahi suni wo har roz tumse apne liye dua karti thhi pujti thhi to aj iski maut ke zimmedar bhi tum hi ho mai abhi se kasam khata hu apni maa ki mai kisi bhi devtao ko nahi chorunga. raat ho chiki hoti hai zohan apni maa ki qabr ke pass hi sojata hai adhi raat gaye ek ladki ake zohan se puchti hai oye tume yaha kyu so rahe ho zohan puchta hai ye batao ki tum kon ho or itni raat gaye yaha kya kar rahi ho wo ladki kehti hai mai yahi rehti hu zohan ghabra jata hai or kehta hai yahi rehti hu se kya matlab hai wo kehti hai mai choti jab mete mom dad chal base tabse mai yahi rehti hu yaha ki saf safai karna ye sab din me kuch kaam wagera kar leti hu taki kuch guzara ho jaye zohan puchta hai kya tum sach me aisi jagah akeli rehti ho kya tumhe darr nahi lagta wo ladki muskura ke kehti hai ye jagah mere liye mere ghar jaisi hai zohan us ladki ki or apna haath badata hai or puchta hai kya tum mere saath chalo gi mere ghar waha tum or bhi achha mehsoos karogi wo ladki kehti hai meri adhi se jyada Zindagi ake beet gayi mujhe nahi pata ki kisi ke saath kaise rehte hai agar mujhse koi galti ho to tum kya karo ge zohan kehta hai ham sab apni galtiyo se seekhte hai tum bhi seekh jao gi ajke baad tum akeli nahi rahogi aj se tum meri behen ho tumhe kisi cheez ki kami nahi hone dunga bilku meri maa ki tarha wo ladki hai kehti hai lagta hai tumari se tum bohot pyaar karte ho to zohan kehta hai ha wo mujhe har chiz jyada kimti thhi or ab bhi hai pir zohan uss ladki se uska naam puchta hai wo kehti hai mera naam zaya hai or tum wo kehta hai mera naam zohan hai or kehta hai hamare naam bhi kitne milte hai apas me jaise ki sage bhai behen ho in bato ke dauran suraj nikal aya tha zohan kahta hai chalo subah ho gayi or pata bhi nahi chala mujhe bhi jake kaam dhoondna hai apne liye zaya kehti hai ha mujhe bhi koi kaam dhoondna hoga apne liye tak hum dono achhe jee sake zohan kehta hai nahi tumhe ajse koi kaam karne ki zarurat nahi mai apni behen ka khayal khud se bhi jyada rakhunga tum ghar ke kaam sambhal rakh lena mai kaam karunga ye keh kar dono ghar aa jate hai zaya buri halat me hoti hai to zohan apni behen se kehta hai jao naha lo or almari me kuch kapde rakhe hai maa ke unme se kuch pahenlo or un kado ka ho sake to achhe se dhyan rakhna wo maa ki nishaniyon me se ek hai ye kehke kaam dhoond ne nikal jata hai kafi der ho chiki thhi zohan pareshan tha kyu ki usko koi kaam dene ke liye taiyar nahi zohan ko bohot gussa aa raha tha pir wo dekhta hai ki ek bachha apni maa ke saath haste hue jaa raha hota hai unko dekh zohan rone lagta hai or wo yaad karta hai ki wo bhi aksar apni maa ke saath ghumne jaya karta tha pir wo faisla karta hai kuch bhi karke kaam dhunde ga or apni behen ko wo zindagi dega jo jaisi usko uski maa se mili pir wo dekhta hai ki ek ladka raat me akela beach ke pass saaf safai kar raha hota hai pir wo uske paas jata hai or puchta suno kya to ye kaam karte ho to wo ladka kehta hai ha ye mera kaam hai agar tume isse koi dikkat hai to mujhse dur hi raho mai nahi chahta koi iss kaam ko leke mera mazak udaye pir zohan kehta hai nahi tum galat samaj rahe ho mai apne liye kaam dhoond raha to par koi kaam dene ko taiyar hi mahi to ladka kehta hai achha to aisi baat hai mai to kuch or hi samajh baitha pir wo ladka zohan ki or haat badata hai or kehta hai mera naam zayn hai tumse milke achha laga waise to ek cleaner hu yaha ka ye kaam dikhne achha na lage par iss kaam ke achhe khase paise mil jate hai or kabhi kabhi yaha kuch kimti chize mil jati hai jinko mai unke malik ko dhoon ke de deta jiske badle kuch paise mil jate or kuch ke malik na milne pe un chizon ko bech ke gariob logon me khana baat diya karta hu are kab se mai akela hi bake ja raha hu tum bhi batao apne bare me pir zona uski bato se bhot khush hota hai or kehta tum bohot achhe insaan ho achha hoga ki tumare jaise or bhi log ho to zayn kehta kyu na tum bhi mujh jaise logon me shamil ho jao or mere saath pe lag jao zohan muskura ke kehta hai mujhe kushi hogi to kaal isi jagah milte hai ye bolke ghar laut jata hai or dekhta hai zaya khana bana ke apne bhai ke liye khud bina khai so jati zohan jake apni behen ko uthata bhut pichli raat jagne ke karan nahi uthti to zohan apni behen ko utha ke apni maa ke bistar pe leta deta hai or zameen pe so hi jata hai jab subah wo uthta hai to zaya uske liye nashta laga rahi hoti hai or kehti hai tum uth gaye jake mu dholo maine tumare liye aloo matar banaya hai ye tumara mann pasand hai na to zohan puchta hai tumeh ye kaise pata pir zohan dekhta hai ki zaya ke haat me uski maa ki likhi kitab hoti hoti or wo yaad karta hai ki maa wo kitab likha karti karti thhi apni zindagi ke bare or wo zohan se us kitab padne se mana kiya karti thhi or kaha karti thhi mai nahi chahti ki tum mere beete hue kal ke bare jano agar kabhi moka mile to ye kisi khas ko dena kyu ki maine isme bhot kuch tumare bare me bhi likha hai taki usko tumhare bare janne me koi dilkat na ho ye soch ke wo rone lagta hai pir zaya uske kareeb ake uske kandhe pe haat rakh ke kehti hai kya tume pata hai jab kisi chale jane ke baad unko yaad karke roya jata hai to unki atma tadapti hai kya tum apni maa ko tadapne doge kya tum devtao ko naraz karna chate ho zohan gussa hoke kehta hai mai nahi manta ye sab devta wagera ye sab sirf logon ka bharam hai or kuch nahi to zaya kehti hai agar aisa hai to mai isi bharam ke saath apni zindagi guzarna chahungi fir dekhta hai ki zaya bhi kuch had tak usku maa jaisi hi thhi har roz prarthna karna devtao ko pujna ye sab dekh zohan ko bhot kyada gussa ane laga tha kyu ki use devtao se apni maa ki maut ka badla lena tha ye dono ek dusre ke saath achhe se rehne lage thhe zohan apni behen ko apni maa ke bare bataya karta tha or zaya apne bare or dekhta hai ki zaya ka bachpana bhi lagbhag uski maa jaisa hi guzra tha or kehta hai ki insaan kitne matlabi hote mujhe nafrat hai in logon se zohan or zayn har roz aise hi kaam kuya karte thhe or zayn ko aksar apne ghar bulaya karta tha teene bich achhi dosti ho chuki thi zayn or zaya ek dusre ko pasand karne lage thhe teeno ko ek dusre ke saath rehte 12 saal beet chuke thhe ek din zohan kehta zaya se kafi saal beet chuke hai tume nahi lagta tume zayn se apni dil ki baat keh deni chahiye or mujhe nahi lagta ki tume mana kare ga tab zaya sharma jati hai or kehti tume sharan nahi ati apni behen se aisi bate karte hue or waise bhi tumara kya 32 saal ke ho gaye ho or aj tak ek ladki ko pasand nahi kar paye ye bolke hasne lagti hai to zohan kehta hai tum bhi meri tang kheenchne lagi or zaya ko haste dekh muskurata hai tabhi zaya puchti hai ki kya hua tum aise kyu muskura rahe ho wo kehta hai kuch nahi bass aise hi to zaya kehti hai tum apni maa ko yaad kar rahe ho na to kehta ha bhot jyada ye sunke zaya kehti hai kya tumne kabhi apni maa likhi wo kitab ko padha hai to zohan kehta hai nahi kyu ki maa ne usko padhne se mana kiya tha to zaya kehti hai kya mai wo tumare liye padh sakti hu kya tum sunna chahoge to zohan kehta hai pir kabhi mai aj bohot khush hu tumare liye tabhi call ata hai ki zayn ka accident ho gya hai dono usse milne ke liye jate or dekhte hai ki zayn apni akhri sanse le raha hota hai in dono ko dekh ke kehta hai mai tumara hi intezar kar raha tha zohan kehta hai tum baat karne ki koshish mat karo ye achha nahi hai phir zohan kehta hai ki mai aj apne dil ki baat kehna chata tha zaya se to zaya kehti chup raho hum baad me bhi baat kar sakte hai to zayn kehta hai nahi itna waqt nahi bacha zohan or zaya rone lagte hai zayn ko iss hal me dekh ke zayn kehta hai ye uss din ki baat hai jab mai zaya se mila tha mujhe usi din zaya se pyaar ho gya tha par mai darta tha ki agar mai apne dil ki baat karu to kahi hamari dosti na toot jaye mai nahi chahta tha ki tume mujhe galat nazro se dekho zohan kehta hai aisa nahi hai mai chata hi tha ki tum zaya shadi karke uska dhyan rakho ye sunke zayn muskurata hai or kehta hai mujhe afsoos rahe ga iss baat ka ki pirse saath nahi reh payenge mujhe tum dono ke saath kuch or waqt rehna tha mai miss karunga tum dono ko ye keh kar chala jata hai zaya zor zor se rone lagti hai zayn ko dafnane ke baad zaya bhot beemar rehne lagi thhi pir pata chalta hai ki zaya bhi usi beemari ki shikar hai jiski koi dawa nahi zohan pir se sochne laga tha kya mai phirse kisi ko khone wala hu kya mai abhi iss ke liye taiyar hu nahi maine maa ko to kho diya jab tak mujhe pata chala der ho chuki thhi iss bar nahi hogi mai kuch bhi karke apni behen ko bacha lunga chahe kisi bhi hadd tak jana kyu na pade ek din wo akela kaam kar raha hota hai tab dekhta hai ki ek ladki pani me kud ke apni jaan dene ja rahi hai pir wo daudta hai uski or jab tak wo jata ladki kud chuki thhi pir zohan bhi uske piche kud jata hai par ladki usko dikhai nahi de rahi thhi kafi andhera tha pir wo or niche jata hai to dekhta hai ki kuch machliya mil kar us ladki ko upar la rahi hai ye dekh zohan tang reh gya ki bhala aisa bhi kuch ho sakta hai pir wo ladki ko upar le jata hai or dekhta hai ki uski sanse nahi chal rahi thhi wo apni puri koshish karta hai usko bachane ki pir dhire dhire ladki ki sanse chalne lagti hai par wo behosh thhi pir wo usko apne ghar le ata hai or zaya se kehta hai kya tum iske kapde badal dogi pir zaya apna kaam karleti hai or apne bhai se puchti hai ki ye kon hai or tum dono bhige hue kyu ho to zohan zaya se sari bate batata hai pir zaya kehti hai tumne achha kaam kiya tumbhi kapde badal lo or so jao bohot der ho chuki hai pir zohan sone chala jata hai usko pirse wo ajeeb sapne ane lage pir wo apne sapno me uss ladki ko dekhta hai or neend se jag jata hai pir wo apni behen ke kamre ke pass jata hai uss ladki ko dekhne pir dekta hai wo jagi hui hai wo uski maa ki kitab ko leke baithi hai zohan jake usse wo kitab cheen leta hai or kehta hai dusro ki chizon ko aise haat nahi lagate pir wo ladki kehti kafi takleefo se guzarna pada tumari maa ko mai samaj sakti hu jo kuch bhi unhone saha kya ye ladki tumari behen hai ye bhi usi beemari ki shikar hai na to zohan hairan hoke puchta hai tume kaise pata pir ladki kehti hai mai janti hu sab kuch tumari maa ke bare me to zohan puchta hai kya tumne ye sab uss kitab de pada ladki kehti hai nahi ye kitab to kisi khaas ke liye hai mai kaise pad sakti hu zohan puchta hai agar tumne kitab nahi padi to itna sab kaise janti ho phir ladki kehti hai mujhe sab yaad hai hazaro salo se mai tume Dhoond rahi thhi akhir me maine umeed chor di or khud khushi karna chaha taki punar janam ho sake or mai tume pirse dhoond pau alag timeline me ye sunke zohan kehta hai tum kya keh rahi mere kuch samaj nahi aa raha bhala koi hazar salo se kaise zinda reh sakta hai or kya sach me punar janm ye sab sach hai wo kehti hai ha pir zohan kehta hai kya meri maa ka bhi punar janm hua hoga to wo kehti hai alag timeline me ek alag story ke saath or ha har timeline me tum hi unke bete hai or kuch kuch timeline me zaya tumari sagi behen reh chuki hai pir wo ladki kehti hai mai akeli hu jo har universes me har timeline me apni purani yado ke saath paida hoti hu sirf tumari wajah se mai ab tak 438 universe me reh chuki hu takriban 14 hazar se jyada saal beet gaye hai tum ye sab rok sakte ho kyu ki ye tumne hi shuru kiya tha kya tume tumare wo sapne yaad hai zohan kehta hai kaise mai kaise kisi ko zindagi de sakta hu itne bar pir ladki kehti hai mai elly hu nam mujhe tumne hi diya tha tume mere saath chalna hoga tum sab theek kar sakte ho ye ek akhri moka hai hum sab tumare banai is 32 years of life trap me kaid ho choke hai tume bahar nikalna hoga kyu ki billions of universe daw par lage hai zohan kehta hai mujhe kuch samaj nahi aa raha mai sab kuch janna chahta hu ki akhir hua kya tha pir elly kehti hai ham teeno ko chana hoga agle kuch dino me tum marne wale ho apne 32 we janam din par agar tum phir se mare to mujhe agle janam me pirse tume dhoondna hoga or pata nahi tum milo ge bhi ya nahi kyu ki tumara janam har bar alag tarha se hota hai alag story ke saath par mai hamesha ek hi tarha paida hoti hu or mere paida hone ke kuch din baad hi mujhe janam dene wale mar jate hai ek accident me mano jaise mujhe ab in chizo ki adat ho gayi ho ye bol ke elly zohan or zaya agle din nikal padte hai ek ek anjan jagah ke or jaha sare raaz chupe hai or iss dauran elly zohan se kehti hai wo kitab tume padna chahiye pir zaya bhi kehti ha ye sahi waqt hai mai suna sakti hu wo sab padke jab us kitab ko pada jata hai tab zohan ko pata chata hai wo kitab me sirf zohan ke bare me hi likha hota hai or akhri panne me likha hota hai mai janti hu tum apne akhri safar pe nikal pade ho or isi dauran ye kitab ko pad rahe ho umeed hai tum apne safar me kamiyab hoge or tume apne sare sawalo ke jawab bhi milenge tume apne wada bakhubi se nibhaya mujhe tumpe naaz hai mujhe kushi hai ki mai tumari maa ke liye chuni gayi ye sunke zohan imotional ho jata hai or kehta hai jab ye sab sachme khatam ho jayega tab mai pirse ek bar apke saath apka beta banke jeena chahunga pir elly kehti hai shayad ye mumkin ho kyu ki jiske liye tume banaya gya tha agar wo tum khatam kar lete ho to tumari existence mitadi jayegi pir zaya kehti hai to hum sab ka kya hoga kya hum bhi zohan ke saath khatam ho jayenge elly kehti hai iske bare me to mujhe bhi khud nahi pata par mai itna hi janti hu ye keh kar chup ho jati hai pir ko kuch din me uss jagah pahunch jate hai jaha ek gufah hoti hai jiske andar rasta tha uss dwar pe jane ka jaha devta rehte hai elly usko leke jati hai uss jagah jaha kahani ki shuruaat hui thhi ...
hello guys ye mai hu iss kahini ka writer lagta hai tum sab bore ho rahe ho meri ye bakwas kahani padte padte but sach kahu to asli maza to ab atega iss kahani ka ab shuru hoga devtao ka yud jiska main charector ek insaan hai or wo devtao ka khatma karega kyu ki usko iske liye hi banaya tha lord ne are yar sab to mai hi bata dunga to tum pado ge kya chalo badte hai kahani ke agle stage pe jaha asli romanchak chupa hua hai to milte agle chapter me