LightReader

Chapter 1 - Dil Ka Akhri Zakhm

“Kiya tum nay kabhi socha hai…

kyun tum hamesha akelay reh jaate ho?

Har jagah apna 100% dene ke bawajood, log tumhein hi galat keh dete hain.

Unki zindagi mein koi masla ho to tum zimmedar.

Unke chehray par udaasi ho to tum wajah.

Unke lafzon mein kaisi bhi tezi aa jaye… to tum hi nishana.

Aur phir aik din bina kisi wajah,

bina kisi final baat ke—

wo log tumhe chor kar chale jaate hain.

Aise jaise tum kabhi the hi nahi.

Aise jaise tumhara wajood sirf tab tak zaroori tha

jab tak unhein koi sahara chahiye tha…

Tum sochte ho,

“Mujh mein kami kya hai?”

Magar jawab koi nahi deta —

sirf khamoshi, sirf tanhai, sirf wo ajeeb sa bojh

jo har raat dil par barh jata hai.”

.Lekin sab se zyada ajeeb baat ye thi…

ke akelapan sirf bahir nahi tha—

andar bhi kuch toot raha tha.

Har raat jab shehar so jata,

aur kamray ki roshni dheemi ho jati,

ek ajeeb sa khali pan uske andar sarak kar baith jata.

Aisa lagta tha jaise koi ussey dekh raha ho.

Koi jo na insaan tha, na dikhai deta tha…

magar uski saansen us ke itne qareeb hoti thi

jaise woh uske dil ki dhadkan gin raha ho.

Us raat bhi woh bichona badalte badalte ruk gaya.

Andhere mein aankhein khol kar pada raha.

Dil ne halka sa jhatka diya—

aur phir… woh awaaz.

Awaaz itni dheemi ke shayad kisi aur ko kabhi sunai na de.

Magar us ke kaan ke bilkul paas se:

“Wapas mat soch.

Jo log tumhein chhor gaye na…

unhein pata hi nahi ke tum kya ho.

Tum akelay is liye ho… kyun ke tum jese logon ko

duniya kabhi samajh nahi sakti.”

Us ne saans rok li.

Ye awaaz kisi aur ki nahi thi—

ye uske andar ki thi.

Aur sab se zyada dark baat ye thi

ke pehli baar…

usne mehsoos kiya ke shayad

ye awaaz sahi keh rahi hai.

Ek halki si muskurahat uske honthon par aayi,

jise dekh kar andhera bhi darr gaya.

Kyunk i us raat us ne pehli baar yeh socha:

“Shayad masla mujh mein nahi…

masla un logon mein tha.

Aur shayad…

shayad ab kuch badalna chahiye.”

.The Dark Weight of an Unlived Life

Awaaz ke lafz uske andar goonj rahe the,

magar uske dard ka asli bojh kahin aur tha—

us zindagi ka bojh jo us ne kabhi jee hi nahi.

“Tum jaante ho,”

awaaz ne dheeme se phir kaha,

“tum sirf akelay nahi ho…

tum khali bhi ho.”

Woh pal bhar ko ankhein band kar leta hai.

Khali?

Haan… shayad yehi sahi lafz tha.

Kyun ke jab woh bachpan mein tha,

tab usne kitni saaf umeedein rakhi theen.

Usne socha tha ek din woh apne maa baap ka sar fakhr se buland karega…

jab woh uska naam logon ko batayenge,

aur kehte, “ye mera beta hai, ye hamara garoor hai.”

Magar waqt ne jaise uska mazaak uda diya.

Aaj wo unhein aankhon mein dekh kar bhi mehsoos karta hai

ke kabhi kabhi woh khud se bhi puchtein honge:

“Hamari tarbiyat mein kami thi ya taqdeer ne dhoka diya…?”

Uska dil wahan hi toot jata hai.

Phir uski woh gf,

jiske sath woh future plan karta rehta tha…

shaadi, apna chhota sa ghar,

sham ko dono chhat par chai peena,

hansi, laraai, phir manana…

Woh bhi chali gayi.

Usne kaha tha, “tum bohot ache ho… lekin mere liye kaafi nahi.”

Yeh lafz uske zehen mein tab se zeher ki tarah ghoomte rehte hain.

Aur phir uska bussiness ka sapna…

apni mehnat, apni identity,

apni life, apni kamayi…

sab hawa jaise haath se phisal gaya.

Koshish karta raha,

fail hota raha,

dobara uthta, phir girta.

Har baar zindagi ne use aur neeche dhakel diya.

Awaaz ab bilkul qareeb aayi,

uske dil ke bilkul paas:

“Tumne bachpan se le kar ab tak

kuch bhi hasil nahi kiya.

Na wo fakhar jise tum maa-baap ko dena chahte the…

na wo pyaar jise tum hamesha sambhal kar rakhna chahte the…

na apni pehchaan.

Tum sirf umeedein banate gaye…

zindagi unhein todti gayi.”

Uski saansein phoolne lagin,

seena dard se bhar gaya,

zindagi ki tamashaayi uske saamne raw ho kar khari thi.

Awaaz ne aakhri baar phir kaha—

iss dafa itni gehrai se ke jaise uski rooh ko pakar liya ho:

“Tumhari zindagi ek adhura waada hai…

jo kisi ne nibhana hi nahi tha.

Is liye tum akelay nahi…

tum bhool diye gaye ho.”

Aur us pal,

uske dil ne sirf ek baat sochi—

“Shayad main waqai… kuch bhi nahi.”

.Zindagi Ka Sab Se Dark Turning Point

Us raat awaaz itni gehri ho chuki thi

ke lagta tha kamra usse sun raha hai.

Aur zindagi ka bojh itna barh gaya

ke uske andar ek cheez toot kar gir gayi—

umeed.

Woh subha jab utha,

aankhon ke neeche gadhay aur dimag me sirf ek sawal tha:

“Ab bacha hi kya hai mere paas?”

Usne phone khola.

Na koi message, na koi call.

GF kab ka chali gayi thi.

Doston ne apna raasta alag bana liya.

Family ko batane layak koi kaam, koi achievement nahi.

Phir woh apne sheeshe ke saamne khada hua.

Khud ko dekha.

Aik khokla insaan.

Aik aisi aankhen jisme dard itna gehra tha

ke lagta tha koi andheron ka daryaa beh raha ho.

Aur phir awaaz dobara boli—

iss dafa itni sakht ke jaise kisi ne uske andar chingari phenk di ho:

“Tumhari zindagi sirf ek baar tootti nahi…

bar bar tootti.

Aur tum har dafa uth kar kya hasil kar paye?

Kuch bhi nahi.”

Uska dil ek dum se bhar gaya.

Usne table par rakhi purani diary uthai.

Woh diary jisme usne sapne likhe thay:

“Apna ghar”

“Apna business”

“Parents proud”

“Future with her”

“A good life…”

Woh saare alfaz uske haath mein jalte kaagaz jaise lagne lage.

Usne diary band ki… phir dheere se ruk kar phaad di.

Ek ek panna.

Har panna phatne ki awaaz

uski zindagi ki fail hui saans jaisi lag rahi thi.

Phir woh seedha chhat par chala gaya.

Hawa tez thi,

raat ka dard abhi bhi seene mein basa hua.

Aur us andhere mein

awaaz uske bilkul peechay khadi thi:

“Ab khud se bhaag bhi nahi sakte.

Ab sirf do raaste hain…

ya toot kar zinda raho,

ya… muk jao.”

Woh railing pakad kar ruk gaya.

Uske haath thande ho gaye.

Dil dhadak raha tha

magar wajah ab kuch aur thi.

Jis waqt woh lean hua—

zindagi ek pal ke liye ruk gayi.

Ye hi uska sab se dark turning point tha:

Ek aisi raat jahan banda zinda bhi tha

aur mar chuka bhi.

.Aisi Cheez Jo Usne Kabhi Sochi Nahi

Woh chhat par khada tha,

andhera, hawa, awaaz, dard — sab ek taraf

aur uski thakan ek taraf.

Jis pal usne railing pakdi

aur neeche nazar daali—

achanak peeche se kisi ne uska haath pakad liya.

Wo ghabra kar palta.

Ek buzurg banda khada tha.

Jaane kahaan se aaya, kaise aaya… pata nahi.

Chhera shant, lekin aankhen ajeeb si gehri.

Buzurg ne bina puchhe kaha:

“Zindagi ka sab se bara dhoka pata hai kya?

Ye lagna ke tum akelay ho.

Beta, akela woh hota hai

jisse koi yaad bhi na kare.

Tumhein to tumhara dard bhi yaad karta hai.”

Woh hosh mein aaya hi tha

ke buzurg ne uska doosra haath pakad kar neeche utar diya.

Seedhiyon tak la kar roka.

“Jis waqt tum toot kar khatam hone ja rahe the,

kisi ne tumhein rok liya.

Ye kismat ka sign hota hai…

ke abhi tumhari kahani baqi hai.”

Woh kuch bol nahi saka.

Sab se ajeeb twist yeh tha…

Jab usne neeche panghat tak dekha—

wo buzurg gayab ho chuka tha.

Na kadam ki awaaz,

na koi door jata sa saya.

Bas hawa hilti rahi.

Usne ghar ja kar socha:

Ye banda koi insaan tha…

ya meri zindagi ka pehla hissa

jo mujhe bachane aaya?

Us raat awaaz andar se bilkul chup ho gayi—

jaise wo bhi dar gayi ho.

.Awaaz Jo Pehli Baar Dar Gayi”

Us raat pehli dafa

uske andar ki woh sakht, andheri awaaz bilkul khamosh ho gayi.

Usko khud pe yakeen nahi aa raha tha—

woh awaaz,

jo usko saalon se todti,

chee rti,

uske har faisle ko manipulate karti rahi…

wo achanak chup thi.

Jaise kisi ne uske moonh par taala laga diya ho.

Woh kamray mein wapas aaya,

lekin pehli baar andhera itna bhaari nahi lag raha tha.

Heart beat abhi bhi tez thi,

haath zara kaamp rahe the,

par uss sakht awaaz ka woh zehni bojh maa n se gayab tha.

Usne sheesha dekha.

Aankhen laal,

saans tez,

but ek ajeeb si calmness… bechaini mein hi chhupi hui.

Phir…

thodi dair baad,

andar se ek bilkul halki,

kisi gehri neend se uthi hui awaaz suni:

“Wo… kaun tha?

Kis ne mere beech mein dakhal diya?”

Uska jism jakad gaya.

Awaaz ab darr hui lag rahi thi.

Pehli baar… darr uski awaaz ka hissa tha, uska nahi.

Usne aankhein band ki—

aur usi moment ek tasveer dimag mein chamki:

Buzurg ki aankhen.

Gehri… bilkul andhere se bina dare hue.

Woh awaaz phir boli,

is dafa ghusse mein:

“Tumhe bachane ka haq kisi ko nahi tha!

Main tumhara dard hoon…

tumhari har haar ka saaya.

Main tumhare saath rehta hoon kyun ke

tum khoklay ho.”

Usne pehli baar jawab diya—

awaz dhimi thi, magar toot kar nahi nikli:

“Agar main itna khokla hota…

to wo buzurg mujhe rok hi nahi sakte.”

Awaaz ek dum se chup…

jaise kisi ne use pakad kar dabaa diya ho.

Phir peeche se halki si gu ssi hui cheekh suni

— but andar se.

Jis tarah pyasay jungle ka koi janwar

zakhmi hokar cheekhta ho.

“Tum badal rahe ho…

mujhe ye pasand nahi.”

Usne apni saans sambhali.

Pehli baar… usne mehsoos kiya

ke awaaz control nahi kar rahi—

bach rahi hai,

jaise apna raasta dhoond rahi ho.

Jo awaaz uska saaya thi…

pehli dafa apne hi saaye se darr rahi thi.

Us ne diary ke phate huay panne jam a kiye,

aur ek corner se ek saaf kaghaz nikala.

Zindagi ne usse itna toda

ke woh phir khud se sawal kar baitha:

“Main waqai kis cheez se ladh raha hoon?”

Tabhi…

rawaangi ke us sukoon mein

darwaze ke neeche se ek kagaz khiska.

Woh hil gaya.

Utha kar dekha—

ek purani likhaai,

khataye hue kinaray,

jaise kisi buzurg ne jaldi mein likha ho:

“Kal fajar ke waqt purani masjid ke peeche aa jana.

Tujhe woh cheez batani hai jisse teri awaaz darte hai.”

Uska dil ruk gaya.

Awaaz phir se phutkar nikli:

“Wahan mat jaana… wahan mat jaana… WOH mujhe mitaa dega!”

Aur yeh woh pal tha

jab usne pehli baar socha—

“Shayad mujhe wahan hi jana hai.”

.Masjid ke Andar Ka Bayan”

Fajar ka waqt tha.

Shehar abhi soya hua tha,

lekin uske andar aik jang jaag rahi thi.

Jis waqt wo masjid ke darwaze tak pohancha,

andar se halka sa roshni ka noor nikal raha tha—

thanda, sakoon bhara,

lekin uske zehen mein uski andar ki awaaz phir se

diwaano ki tarah hil rahi thi:

“Wapis jao!

Mat andar jao!

Ye jagah meri dushman hai!”

Usne gehri saans li…

aur pehli baar

awaaz ki zidd ke khilaaf ek qadam ander rakh diya.

Masjid ka hall bilkul khamosh tha.

Roshni sirf ek corner mein jal rahi thi.

Safon ke beech aik narmi, aik taza hawa ka ehsaas.

Phir…

usne dekha:

Masjid ke aage ki saf mein

ek molvi sahib bayan de rahe the—

sirf 6–7 log baithe huay.

Aawaz halki,

lekin alfaz teer ki tarah dil ko lagne wale.

Jaise hi woh betha,

bayan ka woh hissa chal raha tha

jis ne uska dil hila diya:

Molvi sahib keh rahe the:

“Insaan ka sab se bara dushman shaitaan nahi…

uska apna andar hota hai.

Woh andr ka andhera

jo use yakeen dilata hai

ke tum kuch nahi ho,

tum akelay ho,

tum kabhi behtar nahi ho sakte.”

Uske saath ke kisi ko to shayad yeh aam bayan lag raha tha…

lekin uske liye

yeh lafz uski rooh ko choo rahe the.

Awaaz uske andar phir se phatkar boli:

“Utho…!

Baher nikal jao!

Ye bayan tumhare khilaaf hai!

Ye meri maut ki baat kar raha hai!”

Lekin woh hil bhi nahi saka.

Uska jism jaise jam gaya ho.

Aankhen molvi sahib par tik gayin.

Woh aage keh rahe the:

“Aur shaytan ko harana talwaar se nahi hota.

Uska qatal zuban se nahi hota.

Woh tab marna shuru hota hai

jab tum uski baaton ko pehchaan lete ho…

aur unhein APNA sach samajhna chhor dete ho.”

Uska dil phatne laga—

kyun ke yeh bilkul woh baat thi

jise wo saalon se nahi samajh pa raha tha.

Awaaz ab darr se kanp rahi thi,

uski har fasaahat,

har sakhti,

har qahar toot raha tha:

“Mat suno!

Mat suno!

Agar tumne yaqin kar liya na…

to main khatam ho jaaun ga!”

Par isi waqt

molvi sahib ne woh line kahi

jise sun kar uske seene mein kuch hil gaya:

“Jis din tum apne andar ki awaaz ko

Allah ki awaaz se milne se rokdete ho…

us din andr ka shaitaan zinda reh jata hai.

Aur jis pal tum himmat karke

Allah ka ek lafz sun lete ho…

shaitaan ke haath se tumhari zindagi ka qabza chhoot jata hai.”

Uski aankhon se aansoo neeche girne lage.

Awaaz cheekh rahi thi—

par ab woh cheekh kamzor thi,

pichle dino ki tarah takatwar nahi.

Molvi sahib ne aakhri baar kaha:

“Apne andar ke shaitaan ko khatam karna hai?

To uski baaton ko sach samajhna band kar do.

Uski har negative soch ko radd kar do.

Aur sab se baar —

apne aap ko maaf kar do.

Jab insaan khud ko maaf kar leta hai…

shaitaan us se door bhaag jata hai.”

Us pal…

usne mehsoos kiya

wo awaaz andar bilkul chup ho gayi.

Bilkul.

Jaise kisi ne uska gala daba diya ho.

Usne saans li—

ek gehri, dard se nikalti hui saans…

aur pehli dafa mehsoos kiya:

Shayad main itna akela nahi tha

jitna main samajhta tha.

Masjid ki hawa

uski zindagi ke andhere ko halka kar rahi thi…

Aur uski kahani ka andhera

ab pehli dafa noor se takra raha tha.

.Wo Aakhri Raat Jisne Ussay Badal Diya”

Masjid se nikal kar

uski chaal bohot halki ho chuki thi—

jaise saalon ka bojh kisi ne utar diya ho.

Lekin raat ko…

jab woh apne kamre mein akela tha,

thodi der ke liye

wahi purani awaaz phir se laut ayi.

Bohot halki,

bohot thakki hui,

lekin phir bhi uski saanso par dastak deti hui:

“Main abhi zinda hoon…

tum mujhe itni aasani se maar nahi sakte.”

Usne aankhen band ki…

zara sa dar uske seene mein uthaa…

lekin phir masjid ka wo bayan yaad aya—

wo lafz,

jo aaj pehli dafa uske dil mein jagah bana gaye thay.

Us ne dheere se kaha:

“Tu awaaz hogi…

lekin teray bolay hoye sab jhoot thay.

Aaj se main unhein sunoonga nahi.

Bas.”

Aur jis pal usne yeh kaha,

us pal ushe mehsoos hua

uske andar kuch toot gaya…

kuch sookh gaya…

kuch marr gaya.

Awaaz ne akhri baar halka sa kaha:

“…Phir main ja raha hoon.”

Phir sab kuch khamosh.

Poora kamra,

poora dil,

poori rooh.

Usne pehli dafa

andar complete silence mehsoos ki.

.Next Morning

Fajar ki azan hui.

Wo chhat par gaya,

neeli roshni phail rahi thi.

Thandi hawa uske chehre ko chhoo rahi thi.

Aur bohot saalon baad

usne apne aap ko aik ajeeb si

halka-pan wali muskurahat di.

Dil ne halka sa bola:

“Agar Allah chaahe…

to sab theek ho sakta hai.”

Us waqt uski aankhon se aansoo khud ba khud girnay lage.

Woh zor zor se nahin ro raha tha—

yeh wo aansoo thay

jo zindagi bhar dab ke baithe huay thay,

jo kabhi kissi ko dikhaye hi nahi.

Usne aasman ki taraf dekha aur kaha:

“Mujhe maaf kar dena…

ke main apne aap ko itna saalon tak dard deta raha.”

Aasman khamosh tha,

par hawa ne uske gaal ko chutki si di—

jaise jawab mil gaya ho.

.Aur Phir… Wo Buzurg

Jab woh neeche aya,

gate par wohi buzurg kharay thay,

jinhein wo kal raat masjid ke bahar mila tha.

Unki aankhon mein noor tha,

chehre par aik shafqat.

Woh muskuraye aur bole:

“Beta… raat ko neend aayi?”

Uske aansoo ruk nahi rahe thay.

Usne sirf yahi kaha:

“Bohot saalon baad…

aaj pehli dafa…

main chain se soya hoon.”

Buzurg ne uske sar par haath rakha

aur halki si dua di:

“Allah tumhare andar se andhera saaf kar chuka hai.

Ab zindagi tumhari hai…

aur raasta tum par roshan ho chuka hai.”

Us pal…

usne mehsoos kiya

ke koi boojh nahi raha.

Na woh awaaz.

Na woh tanhai.

Na woh khauf.

Bas aik nayi roshni.

Aik nayi zindagi.

.The Tear-drop Moment

Raat ko sote waqt

usne diary kholi

jisme woh saalon se likhta tha.

Aaj usne sirf aik line likhi:

“Agar tum apni zindagi ka dard Allah ko de do…

to woh tumhari zindagi ko dobara likh deta hai.”

Phir usne diary band ki,

aankhon se aik aakhri aansoo gira,

aur us aansoo ne

us zindagi ka woh dard dho diya

jisne usay kitni saalon se qaid kar rakha tha.

Us raat…

woh sacha waqt tha

jab uski zindagi ne dobara janam liya.

More Chapters