LightReader

Chapter 2 - char mitr

Ek ghane jangal me ek jhil thi uske kinare char mitr rahte the chota sa bhura chuha kala kaluta kauwa kachuwa aur hiran charon mitr hil milker sukh se rahte the ek sham chuha kauwa aur kachuwa jhil ke kinare baithe baithe chauthe mitr hiran ka intejar kar rahe the ghanto bit gaye par hiran nahi aaya lagta hai hamara mitr kisi musibat me fas gaya hai chuhe ne chintit hokar kaha ha kauwe ne kaha ho sakta hai use kisi shikari ne pakar liya ho kachuwe ne kauwe se kaha tum urkar charon taraf dekhte hue hiran ka pata laga sakte ho mai dekh kar aata hu aisa kahkar kauwa hiran ki khoj me ur chala hiran ko pukarta bhi raha pyaare hiran tum kaha ho tum kaha ho kuch samay baad use apni pukar ke jawab me ek halki aawaz sunai di woh hiran ki aawaz thi bachao mujhe bachao hiran kah raha tha mai yaha hu yaha oh ho to tum yaha ho mai na jane kab se tumhe khoj raha hu kauwe ne kaha hiran ek jal me fansa hua tha apne dost ko dekh hiran ke aankhon me aansu bhar aaye kauwe ne dukhi hokar kaha tum to jaal mein fanse ho achha thahro mai tumhari madad ke liye dost chuhe ke pass jata hu aur use lekar wapas aata hu kauwa furti se urta hua jhil ke paas laut aaya kauwe ne hiran ko khoj nikalne aur uske jaal me fanse hone ki saari kahani apne mitron se kah sunai is par kachuwe ne jhat pat ek upaay soch nikala usne kaha chinta ki koi baat nahi chuha jaal katkar hiran ko aajad kara sakta hai han kyu nahi chuhe ne kaha lekin mai uske pass jaunga kaise yah bhi koi baat hai kauwe ne kaha mai tumhe apni pith par baithakar le chalunga to aao chalen chuhe ne kaha aur uchak kar kauwe ke pith par baith gaya chuhe ko lekar kauwa ura aur thori hi der mein hiran ke paas ja pahuncha chuhe ne jaal kat kar hiran ko aajad kar diya isi bich kachuwa bhi wahin aa pahuncha kachuwe ko dekh kar chuhe ne kaha tumhe yahan dekhkar hame achha laga kintu yah baat thik nahi hui shikari ke aane se ham sab musibat me par sakte hai achanak kisi ki aane ki aahat sunkar charon chup ho gaye unhone dekha samne se shikari chala aa raha hai shikari par najar parte hi kauwa ur kar ek unche per ki dal par ja baitha chuha ek bil me ja chipa aur hiran chaukri bharta hua palbhar me gayab ho gya lekin kachuwa bechara kya karta wah jaise taise ek jhari ki or rengne laga shikari jaal khali dekh bhauchak rah gaya wah chakit hokar idhar udhar dekhne laga achanak uski nigah jhari ki or rengte hue kachuwe par pari usne lapakkar kachuwe ko pakra aur ghas ke fande me lapet dhanus par latkakar ghar ki or chal diya per par baitha hua kauwa saari ghatna ko dekh raha tha usne apne doston ko pukara aur saari baat batayi are kauwe bhai hiran bhai ab kya kiya jaye chuhe ne kaha kachuwe ko aajad kaise karaya jaye kauwe ne kaha hame kya karna hai yah mai batata hu shikari ke raste mein kisi talaiya ke kinare hiran par jaye mai uske mathe par baith kar chonch marunga isse shikari hiran ko mara hua samjhe ga phir to wah kachuwe ko chod hiran ke liye daure ga usi bich chuha ghaas ka fanda kat dega aur kachuwa aajad ho jayega man len kahin usne tumhe pakad liya to chuhe ne pucha are nahi tum chinta na Karo mai itna tej daurunga ki use nani yaad aa jaegi hiran ne kaha

More Chapters