"Vyayam"
Body yaani Sharir ki jo Kriya sthirta tatha Bal badhane ke liye hoti hai Vahi Sharir ka vyayam Kahi Jaati Hai. Vyayam uchit Matra Me karna chahiye kyonki atyadhik vyayam bhi Sharir ke liye hanikarak Hota Hai. Adhik Matrame vyayam karne se thakaan, malinta, pyaas badhna, swaas sambandhi Rog, khansi, bukhaar tatha vaman yaani ulti utpann hoti hai.
"VYAYAM ME DHYAN DENE YOGYA KATHAN"
1,,, Apna Kalyan chahane wale vyakti ko Sabhi MMausam me Pratidin Aadhi shakti ke dwaara vyayam karna chahiye. Uske vipareet karne par yah maar deta hai atah sharir ki badi haani ho sakti hai.
2,,, budhimaan vyakti ko kabhi bhi atimaatra me vyayam hansi majaak, bhaashan, tahalna, stri sahvaas tatha raatri jaagran nhi karna chahiye.
3,, yuva avastha ke guno ke na hone par bhi vyayam vyakti ko sundar bna deta hai. Balvaan aur chikna bhojan karne wali ke liye vyayam bahut laabhkaari hai. Thand aur basant ritu me vyayam babbut laabhkaari hota hai.
4,, sharir me thakaan paida karne wale karya ko vyayam kha jaata hai. Ise karne ke pashchaat sharir ko aaram aur sharir me chaaro Or maalish kar lena chahiye.
5,, visham bhojan karne ke kaaran bahut se rog va kasto ko dekhte hue samay par alp maatra me tatha saatvik bhojan hi karna chahiye. Yahi brahmacharya ka paalan hai.
"VYAYAM KE LAABH "
1,,Vyayam me lage rahne se budhapa ekaek akraman nhi karti. Maans sthir aur majboot ho jaata hai.
2,, sharir ke motaape ko kam karnewaala vyayam ke atirikt kuch bhi nhi hai. Vyayam karnewaale ko satru bhi peedit nhi karte hai.
3,,pratidin snaan sharir ko pavitra karta hai. Veerya aayu ki bridhdi karta hai. Sharir ki thakaan, paseena, dhool aadi ko door karta hai. Snaan bal ko badhaanewala hai aur saurya pradaan karta hai.
4 ,, snaan karne se, pairon tatha malmaargo ki pavitrata ka baar baar rakhne se smaran shakti ki bridhdi hoti hai, swachhta aati hai, aayu badhti hai, daridrata aur malinta ka naash hota hai.
5,, shir me pratidin tel daalne se shir me dard nhi hota, na ganjapan na safedi aati hai aur na hi baal jhadate hai, indriya prasann hoti hai mukh sundar twachawala ho jaata hai tatha sukhpurvak neend aati hai. Shir me tel lagaane se shir ki haddiyaan shaktishali ho jaati hai, baal majboot jadwaale lambe tatha kaale ho jaate hai.
"Dhanyavaad"
"Radhe Radhe "🙏🙏🙏
