Aarav abhi bhi use gol kamre ke bich khada tha uske samne Rakhi Hui Ajeeb machine se nikalti Hui Roshani use pure kamre ko halki Si Roshani se Bhar rahi thi machine se lagatar ek dhimi Si gunj a rahi thi Jaise koi bahut shaktishali chij use machine ke andar kam kar rahi ho kamre ki deeware purani Thi aur UN diwaron per Ajeeb tar aur upkaran Lage hue the Aisa vyatit ho raha tha jaise is jagah per bahut samay pahle ek bahut bada vaigyanik upkaran hua tha Aarav धीरे-धीरे machine ke pass gaya uska Dil tezi se dhadak raha tha usne dhyan se machine ko dekhna shuru Kiya vah machine gol Aakar ki thi aur uske upar छोटी-छोटी screen lagi hui thi kuchh screen per Ajeeb chinh Bane hue The aur kuchh screen per number apne aap Badal rahe the tabhi aaram ko use diary ki yad aai Jo use upar wali tuti Hui prayogshala mein mili thi usne jaldi se apne bag se vah diary nikaali aur diary ke panne paltane Laga diary ke Kai panne purane Ho chuke the kuch jagah par syahi dhundhli ho gai thi lekin uske bavjud bhi ke baten saaf padhi Ja sakti thi Kuch der ke bad Aarav ko ek panne per usi machine ki tasvir dikhai di uska Dil dhadak utha usne turant hi vah Panna padhna shuru Kiya use panne per likha tha ye urja machine hai isko kai vaggayaniko ne milkar banaya tha iska uddeshya ek nyi aur aseem Shakti urja strot ki khoj karna tha agar yah prayog Safal ho jata to duniya mein urja ki samasya khatm Ho Sakti thi Aarav Dhyan se padhta Raha lekin agale hi panne Ne use chaunka Diya usmein likha tha lekin prayog ke doraan Kuchh esa hua jiski humne Kalpana bhi nhi ki thi machine ne itni shaktishali urja peda karni shuru ki usko niyantrit karna mushkil ho gaya Aarav ka Gala sukhne Laga usne aage padha agar yah machine Puri Shakti se sakriy ho gayi to iske parinaam bahut Khatarnak ho sakte hain isliye humne is parinaam ko ISI Jungle ke bichon bich chhupa Diya Aarav yah padhkar hairan rah Gaya toh kya yah machine abhi bhi chalu hai Aarav Ne yah man hi man socha tabhi Achanak machine ki Roshani aur Tej ho gai kamre ki diwaron per Neeli Roshani failne lagi aur Zameen halki halki kampane lagi Aarav ghabra Gaya yah sab kya ho raha hai usne dhire se kaha usi samay surang ki taraf se kisi ke kadmon ki awaaz sunai Di tak tak tak is bar awaz saaf aur Tej thi Aarav turant muda or torch ki Roshani us Disha ki or ghuma di kuchh pal Tak andhere ke alawa kuchh bhi nahi dikhai diya fir dheere dheere ek parchhai andhere se bahar aane lagi Aarav ka dil zor zor se dhadakne laga kuchh second baad wah aadmi roshni se bahar aaya wah wahi Budha vaggayanik tha jisse Aarav jungle mein mila tha Aarav Ne rahat ki saans li aap yahan kese Aarav Ne herani se puchha vaggayanik dheere dheere uske pass aayaa or machine ko dhyan se dekhne laga uske chehre par chinta saaf dikhai de rahi thi mujhe dar tha ki koi na koi yahaan tak zaroor pahuch jayega usne ghambhir aavaz mein kaha Aarav Ne puchha kya aapko is jagah ke baare mein pehle se pata tha vaggayanik ne dheere se sar hilaya Haan kyunki mein hi un vaggayaniko mein se ek tha jinhone is machine ko banaya tha Aarav ki aankhein ashcharya se fel gai kyaa usne herani se kaha vaggayanik ne gehri saans li or bolna shuru Kiya kai saal pehle hum kuchh vaggayaniko ne esa prayog kiya tha jo duniya badal sakta tha hum ek nyi urja banana chahte the ho kabhi khatam na ho lekin ek din prayog ke doran machine ne kuchh zyada hi urja peda karni shuru kar di vaggayanik ki Aawaz thodi kaampne lagi machine hamare niyantran se bahar ho gai uske Karan aas paas ajeeb ghatnayen hone lagi jungle ke jaanwar bhi ajeeb wayavhar karne lage Aarav Dhyan se us vaggayanik ki baatein sun raha tha tab humne fesla kiya ki is machine ko yahi chhupa Diya Jaye taki ise koi istemal na kar sake vaggayanik ne machine ki taraf dekha lekin ab lagta hai ki yeh machine for se sakriye ho rahi hai tabhi machine se achanak tej aawaz aai beep beep beep machine ke upar ki screen chamakne lagi ek screen par achanak ek Naya sandesh dikhai diya energy level 85% Aarav ghabra Gaya yeh kya ho raha hai usne vaggayanik se puchha vaggayanik ne ghambhir aavaz mein kaha iska matlab ye hai ki machine dheere dheere puri Shakti se chaalu ho rahi hai agar ye 100% tak pahunch gai toh iski urja bohot Khatarnak ho sakti hai Aarav Ne ghabrakar puchha toh ab hume kya karna hoga vaggayanik kuchh pal Tak khaamosh raha fir usne kaha Hume isko band karna hoga Aarav Ne chaaron taraf dekha or kaha lekin kese tabhi Achanak machine ke paas wali Deewar se halki si aawaz aai ghad ghad deewar ka ek hissa dheere dheere khisakne laga kuchh second baad waha ek Chhota Sa gupt raasta dikhai dene laga darwaze ke pichhe ek or andhera Kamra tha vaggayanik ki aankhein fel gai mujhe yaad aa gaya usne kaha shayad machine ka control system us kamre ke andar hai Aarav Ne torch us kamre ki taraf ghumai kamre ke andar bohot andhera tha ab Aarav or vaggayanik dono hi samajh chuke the ki ab hume us kamre ke andar jaana hoga lekin unhe ye khatra nhi pata tha ki waha unke liye kya khatra intejaar kar raha hai tabhi machine ki screen par ek naya sandesh dikhai diya energy level 90% kamre mein Achanak sannata chha gaya ab unke paas bohot Kam waqt bacha tha agar unhone jaldi kuchh nahi kiya toh is jungle ka rahasya puri duniya ke samne aa sakta hai or shayad ek bohot hi badi tabahi bhi ho sakti hai aage kya hoga ye pata chalega part 4 mein
