LightReader

Kaunsa ghar

KhushiRathod
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
172
Views
Table of contents
VIEW MORE

Chapter 1 - KAUNSA GHAR

• sab kehte hai ki thak jao to Ghar chale jao vaja sukoon mil jayega.

Par konsa ghar..??

Ladki ya aurat ka koi ghar nahi hota

Uski shaadi hone se pehle bhi aur uski shaadi hone ke baad bhi...

Uskaa koi ghar nahi hota hai....

Yee me nahi keh rahi ye keh raha hai hamara samaj,hamara culture,humari society....

Par aap log sochiye kya ye sahi hai

Kyaa mardo me aur aurto me bhed bhav karna acchi baat hai..

Bilkul nahi...

.

.

Isipar mene meri jaisi aurton ke liye kuchh likha hai vahi me abhi yaha likhna chahungi....

.

Aurat bolti hai,

Sab kehte hai ghar vahi hota hai,jaha apne kehte hai,

Par kya karu jab apne hi ajnabi lagne lagte hai ?

Mein chahti hu ki inki tarah na banu,par kabhi apne hi aavaj se darr jati hu,kyuki usme unka lehja sunai deta hai.

Vo jazbaat chhupane ki aadat,wahi dard,vahi tareeka....

Jo mene kasam khai thi ki kabhi nahi dohraungi, sab mere andar reh gaye.

To batao " KAUNSA GHAR?"

Vo jaha log mere hai,

Ya vo jaha me khud apni hu ?

Aur shayad hum sab ek aisa ghar dhoond rahe hai

Jaha bas "Hum aur sukoon"

"TO BATAO KAUNSA GHAR?"

To ispar me kahungi,

Vo ghar jaha har ek chhoti-badi baat par ladayi ban jati hai,jaha pyaar bhi aavaj uthakar milta hai aur chup rehna bhi galti lagti hai ,

Vo ghar jaha subah uthte hi hawa bhaari lagti hai, jaha apne hi sikhate hai ki rona kamzori hota hai aur chup rehna sahii ...

.

.

Waa re log ,

Waa re duniya,

Ye kaisi aazadi mili hai hum aurto ko,

Zindagi to hamari hai par use jee koi aur raha hai,

Har ek baat par hum par sawaal uthaya ja raha hai,

Jyada baat kare to characterless,

Aur kam bole to attitude bohot hai,

Agar chup rahe to bechari hai,

Aur jyada bole to muhfat hai,

Apna hakk maange to matlabi hai,

Aur naa maange to gungi hai,

Ye kaisi aazadi mili hai hum aurto ko,

Waa re duniya

Waa re duniya ...

.

Shaadi se pehle ladki paraya dhan hai aisa kaha jata hai,

Aur shaadi hone ke baad , ye to paraye ghar se aayi hai aisa kaha jata hai....

Kya sachme aurto ka koi ghar nahi hota hai....

Kya sachme aurto ka koi ghar nahi hota hai.....????

.

.

Mera to kehna hai ki aurat ke bina koi ghar ghar nahi hota hai....

Koi ghar ghar nahi hota hai.