Chapter 6: Bhooli Hui Kasam
Ubaidkk ne diary uthai, dhool se bhari hui thi. Safa kholta hi pehla jumla likha tha —
"Jo wada toota tha… usi se kahani shuru hoti hai."
Uske haath thoda kaanp gaye.
Tabhi peeche se ek narm awaaz aayi,
"Yeh kya hai?"
Kim Jo-woon thi. Uski awaaz mein masoomiyat thi, aankhon mein halka sa darr… lekin ek apnapan bhi.
Ubaidkk ne diary chhupane ki koshish ki,
"Kuch nahi… bas ek purani kitaab."
Jo-woon ne diary uske haathon se gently le li.
"Ubaid... tum sach mein theek ho? Tum pehle jaise nahi rahe."
Ubaidkk ne uski taraf dekha — pehli baar uski aankhon mein kuch tha… jaise kisi ne dil ko chhoo liya ho.
"Main bhi nahi jaanta main kaun hoon ab..." usne dheere se kaha.
Jo-woon ne diary kholi.
"Chapter One: The Forgotten Pact…"
Uska chehra safed pad gaya.
"Yeh… toh hamare bachpan ka naam hai na? Tum… aur main?"
Ubaidkk ne uski aankhon mein dekha.
"Yeh sab yaad kaise hai tumhe?"
Jo-woon ki aankhon se ek aansu tapka.
"Main kabhi bhooli hi nahi… tum gaye the… lekin mera dil wahi ruk gaya tha."
Ubaidkk uske kareeb aaya.
"Jo-woon… kya hum dono… kabhi ek the?"
Usne haan mein sir hilaya…
"Lekin tum kuch bhool gaye ho… aur wo saya, Jinroh… tumhara hi hissa hai."
Ubaidkk ne diary ko zor se band kiya.
"Toh sach mein… main us kahani ka hero hoon… ya villain?"
Jo-woon ne uska haath pakda,
"Tum jo bhi ho… main tumhare saath hoon."
Aur raat ke andhere mein, pehli baar Ubaidkk ne us andhere ko halka sa roshan mehsoos kiya…
Lekin ek kone mein — Jinroh phir se muskara raha tha.
"Waqt aa gaya hai… sab yaad dilane ka."
---